Song Name : Hamen Duniya Ko
Album / Movie : Aadhi Raat
Star Cast : Ashok Kumar, Nargis Dutt, Cuckoo, Jeevan, Neelam, Arif Khan, Tiwari, Kuldip Kaur
Singer : Lata Mangeshkar
Music Director : Bhagatram Batish, Husnlal Batish
Lyrics by : Asad Bhopali
Music Label : Saregama
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Tadap lete hain lekin
Unko tadpaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Ghadi bhar ke liye bhi
Door unse rah nahin sakte
Tumhen ham chaahte hain
Unse ye bhi keh nahin sakte
Naa jaane kyun zubaan par
Dil kaa afsaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Koi haalat ho duniyaa
Pyaar ki aabaad rahti hai
Kabhi jab wo nahin hote
To unki yaad rahti hai
Mohabbat wo kali hai
Jisko murjhaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Umangen jaag utthi hain
Tamannaa muskaraayi hai
Hamaare dil ne armaanon
Ki ik mehfil sajaayi hai
Ye wo mehfil hai jismen
Koi begaanaa nahin aataa
Hamein duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Tadap lete hain lekin unko
Tadpaana nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa.
No comments:
Post a Comment