Pages

Thursday, August 24, 2023

Na Aadami Ka Koi Bharosa Lyrics

Song Name : Na Aadami Ka Koyi Bharosa

Album / Movie : Aadmi 1968

Star Cast : Dilip Kumar, Manoj Kumar, Waheeda Rehman

Singer : Mohammed Rafi

Music Director : Naushad Ali

Lyrics by : Shakeel Badayuni

Music Label : Saregama



Teri mohabbat pe shak nahi hai

Teree wafao ko manata hu

Magar tujhe kiski aarju hai

Main yeh hakikat bhi janata hu


Na aadami ka koi bharosa

Naa dosti ka koi thikana

Wafaa kaa badalaa hain bewafayi

Ajab jamana hain yeh jamana

Na aadami ka koi bharosa


Naa husn mein abb woh dilakashee hai

Naa ishk mein abb woh jindagi hai

Jidhar nigaahe uthake dekho

Sitam hain dhokhaa hain berukhi hai

Badal gaye jindagee ke nagame

Bikhar gayaa pyaar kaa tarana

Badal gaye jindagee ke nagame

Bikhar gayaa pyaar kaa tarana

Na aadami ka koi bharosa


Dawa ka badale mein jeher de do

Utaar do mere dil mein khanjar

Lahu se sincha tha jis chaman ko

Uge hain shole ussi ke andar

Mere hee ghar ke charaag ne khud

Jala diya mera aashiyana

Mere hee ghar ke charaag ne khud

Jala diya mera aashiyana

Na aadami ka koi bharosa

Naa dosti ka koi thikana

Wafaa kaa badalaa hain bewafayi

Ajab jamana hain yeh jamana.

No comments:

Post a Comment