Pages

Sunday, October 8, 2023

Tere Is Pyar Ka Shukriya Lyrics

Song Name : Tere Is Pyar Ka Shukriya

Album / Movie : Aag Aur Daag

Star Cast : Joy Mukherjee, Madan Puri

Singer : Mohammed Rafi

Music Director : Datta Naik

Lyrics by : Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari)

Music Label : Saregama



Aaj in haathon mein phir se

Zindagi hai saaz hai

Kya kahun ae husn tujh par

Kitna mujh ko naaz hai

Tere is pyar ka shukriya mere meharbaan

Tere is pyar ka shukriya mere meharbaan

Mere meharbaan aa mere meharbaan


Socha na tha kabhi

Itni haseen bhi, hoti hai zindagi

Ae jaan-e-jaan, socha na thha kabhi

Itni haseen bhi, hoti hai zindagi

Ae jaan-e-jaan aa

Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan

Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan

Mere meharbaan, mere meharbaan


Mana ke zindagi, kanton me hai pali

Phoolo se hai bhari, meri dastaan

Mana ke zindagi, kanto mein hai pali

Phoolon se hai bhari, meri dastaan

Aa tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan

Tere is pyar ka shukriyaa, mere meharbaan

Mere meharbaan, aa mere meharbaan


Tu hai to raat kya, darne ki baat kya

Taron se hai bhara, mera asmaan

Tu hai to raat kya, darne ki baat kya

Taron se hai bhara, mera asmaan

Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan

Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan

Mere meharbaan, aa mere meharbaan.

No comments:

Post a Comment