Song Name : Saawan Ki Ghata
Album / Movie : Aag Aur Toofan
Star Cast : Mumtaz, Robin Kumar, Anwar Hussain, Rajan Haskar, Mohan Choti, Meenaxi, Rajen Kapoor, Rekha Chauvan, Sheikh, Uma Dhawan, Tun Tun, Amar
Singer : Mahendra Kapoor
Music Director : Datta Naik
Lyrics by : Anand Bakshi
Music Label : Saregama
Saawan ki ghata payal ki sada
Kaliyo ki nazakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kayamat kahte hai
Saawan ki ghata
In julfo ka jane raaz hai kya
In aankho ka ye andaaz hai kya
In julfo ka jane raaz hai kya
In aankho ka ye andaaz hai kya
Yun koi sitam dhaye to sanam
Hum usko inayat kahte hai
Saawan ki ghata
Phulo ka guman bhi jhutha hai
Jannat ka bharam bhi tuta hai
Phulo ka guman bhi jhutha hai
Jannat ka bharam bhi tuta hai
In sabse kahi wo jazba hasi
Jise teri mohabbat kahte hai
Saawan ki ghata
Pucha hai sitaro se maine
Kyu nind nahi aati mujhko
Pucha hai sitaro se maine
Kyu nind nahi aati mujhko
Hai teri kasam wo isko sanam
Teri hi sararat kahte hai
Saawan ki ghata payal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kayamat kahte hai
Saawan ki ghata.
No comments:
Post a Comment